Ye meri qaum ke hukmran bhi sunen Meri ujdi hui dastan bhi sunen Jo mujhe mulk tak maante hi nahi Sari duniya ke wo rahnuman bhi sunen Sirf lashen hi lashen meri god me Koi poochhe mai kyun itna ghamgeen hun Main palestine hun mai palestine hun Aaye the ek din mere ghar aye the Dushmanon ko bhi tanha nazar aye the Oont per apna khadim bithaye huye Meri is sarzameen per Umar (ra) aye the Jiski parwaz hai asmanon talak Zakhmi zakhmi mai wo ek shaheen hun Main palestine hun mai palestine hun Mere daman me iman palta raha Ret per rab ka farman palta raha Mere bachche lade aakhri saans tak Aur seeno me quran palta raha Zarre zarre me Allah hu akbar liye Khushnasibi hai mai sahib-e-deen hun Main palestine hun mai palestine hun Na hi royenge aur na hi muskayenge Sirf naghme shahadat ke hi gayenge Apna bait-ul-muqaddas bachane ko to Mere bachche ababeel ban jayenge Jo sitam dha rahe abraha ki tarah Unki khatir mai saaman-e-touheen hoon Mai palestine hun mai palestine hun Chaak daman rafu karke likhta hun main Zakham se guftagu karke likhta hun main Dard gaane ko bhi housla chahiye Aansuon se wazu karke likhta hoon main Apni saanson me aabad karke rakhna mujhe Main rahun na rahun yaad rakhna mujhe
English Speech given by Mubaligh-e-Dawat-e-Islami, Rukn-e-Intazami Kabina UK, Hazrat-e-Maulana Hafiz Muhammad Rafaqat Attari Sahib (Sallamahul Bari)